बुधवार, 8 अगस्त 2018

Sulekh ohm ka

An effort to revive old memory of exposure to calligraphy by parent and grand parents using colourful inks and hand made pen of bamboo stick and a particular type of grass called "karera".

Inspired by http://calligraphyaday.blogspot.com/?m=1 my current guru of devnagri lipi calligraphy.

शनिवार, 19 मई 2018

Astitwa

Dhalte sham ke suraj ki lalima,
Chandni raat me ufanti samudra ki seema|

Patte ke nokh par atki bund ki chamak,
Aasman me duj ke chand ki damak|

Chat par baithi goraiye ki chahak,
Barish ki pahle bund ki mahak|

Iet ke dher par baithe gilhari ka itrana,
Sheet ke baad mosam basant ka suhana|

In sabo ka hai sanghars ke saath nata purana,
Kyoki inhe hai apne chanik ASTITWA ko bachana|
 

मंगलवार, 1 मई 2012

Maa

Maa

mamtamai gao ko
anchal ki chao ko
hamare hone ko
ham me khone ko
hamare hosh ko
garam aagosh ko
maa kahte hai

jilane ki chah ko
dabi hui aah ko
mithe gusse ko
anjane kisse ko
adhkhuli palak ko
bhagwan ki jhalak ko
maa kahte hai

mithe madhur tan ko
bade bade arman ko
hamare dogune utkars
se chogune hote harsh ko
maa kahte hai