शुक्रवार, 20 सितंबर 2019

 Angreji se Samman ka kya sambandh.

Ek nayi bhasha ka Gyan hamesha labhprad hai.Par bhasha avibyakti se jyada kuch nahi.
Matree bhasha me kafi Bhawna bhi jur jati hai. Ham Apne AAP ko jyada or satik tarike se vyakt kar pate hai. Ham Sab mil kar hi samaj banate hai or samaj ki soch bhi. Hame hi Angrejo dwara paida ki gai heen Bhawna Ko Nikal kar pekna hai.Apni bhasha me hamari kabiliyat badh jati hai. Mai ki si nayi bhasha sikhne ke khilaf nahi, par Mai Bharat ki kshetriye bhashao ke upyog par Joe deti hu.Aaj ke Yug me ham aashani se kisi bhi Bhasa ya leepi Ko Apne anushar anuwadit kar sakte hai. Phir praysh jarur karna chahiye.
French ,German, Chinese aadi Apne bhash or lipi me Sara kaam karte hai. Kahi koi hinta ka Bodh nahi.Fir bhartiyo me ye hinta kaha se aagai. Angreji Bhasha se na jyada hai na kaam. Eshme Maan Samman Ko jorna murkhta hai.